Pages

Sunday, April 10, 2011

Alvida (Life In A Metro)






chupke se kahin, dheeme paanv se
jaane kis tarah, kis ghadi
aage badh gaye hamse raahon me
par tum toh abhi the yahin
kuch bhi na suna, kab ka tha gila
kaise keh diya alvida

jinke darmiyaan,  gujri thi abhi
kal tak ye meri zindagi
lo un baahon ko, thandi chaanv ko
hum bhi kar chale alvida
alvida alvida meri raahein alvida
meri saansein kehti hai alvida
alvida alvida ab kehna aur kya
jab tune keh diya alvida

sunle bekhabar, yun aankhein pher kar
aaj tu chali jaa…
dhunde gi nazar, humko hi magar
har jagah!!!
aisi raaton mein, leke karvate
yaad hamein karna…
aur phir haar kar, kehna kyun magar
keh diya…

alvida alvida.. koi puche to zara
kya socha aur kaha.. alvida
alvida alvida ab kehna aur kya
jab tune keh diya.. alvida

hum the dil jale, phir bhi dil kahe
kaash mere sang aaj…
hote tum agar, hoti har dagar 
gulsitaan…
tumse hai khafa, hum naaraaz hai
dil hai pareshaan , socha na suna
tune kyun bhala.. keh diya

alvida alvida.. koi puchhe to zara
kya socha aur kaha.. alvida
alvida alvida ab kehna aur kya
jab tune keh diya.. alvida




No comments:

Post a Comment